10+ Ramadan Islamic status Quotes in Urdu and Hindi For WhatsApp, Facebook, Instagram,
Doston aj hum apky sath 10+ Ramadam Islamic status Quotes in Urdu and Hindi share kar rahy hain ye Ramadan Islamic status Quotes in Urdu and Hindi buhat unique hain. Ramadan ka maheena buhat hi barkaton wala maheena hai. Is maheeny mein Musalman ky gunah bakhsh diye jaty hain. Or Allah pak ki rehmato ki barish insan par barasti rehti hai. Gunaho ko bakhshwany ka maheeny hai. Jahannum sy azadi ka maheena hai. Jannat pany ka maheena hai. Allah ko razi karny ka maheena hai. To buhat hi Qeemati lamhaat any waly hain Apny rabb ko razi karny ka moka mil rha hai Allah ko razi kar lijiye. Pyary Doston agar apko hmara content hmari mehnat pasand aye to ap ramadan islamic status Quotes in Urdu and Hindi ko ziada sy ziada share karain.
Islamicstatusquotes.Syedatv.Com
Ramadan Islamic status Quotes in Urdu and Hindi For WhatsApp, Facebook, Instagram
1)Is maheeny ka naam Ramadan Is liye rakha gya
Kyun ky ye gunaho ko bakhash deta hai.
اس مہینے کا نام رمضان اس لیے رکھا گیا
کیونکہ یہ گناہوں کو بخش دیتا ہے
2)Hum gunahgaro py ye Kitna bara ehsaan hai
Ya Khuda tu ny ata phir kar dia ramadan hai
ہم گنہگاروں پہ یہ کتنا بڑا احسان ہے
یا خدا تو نے عطا پھر کر دیا رمضان ہے
3)Tujh py Sadqy jaun ramadan Tu Azeem o shan hai
Ky Khuda ny tujh mein hi nazik kiya Quran hai.
تجھ پہ صدقے جاؤں رمضان تو عظیم الشان ہے
کہ خدا نے تجھ میں ہی نازل کیا قرآن ہے
4)Rozadaro jhoom jao kyun ky deedar e khuda
Khulad mein hoga tumhy ye Waada e Rehman hai
روزہ داروں جھوم جاؤ کیوں کہ دیدار خدا
خلد میں ہوگا تمہیں یہ وعدہ رحمٰن ہے
5)Har ghari Rehmat bhari hai Har traf hain barkaty
Mah e Ramzan Rehmato or barkato ki kaan hai
ہر گھڑی رحمت بھری ہے ہر طرف ہیں برکتیں
ماہ رمضان رحمتوں اور برکتوں کی کان ہے
6)Do jahan ki Nemaatain milti hain Rozadar ko
Jo nahi rkhta hai Roza wo bara Nadaan hai
دو جہاں کی نعمتیں ملتی ہیں روزہ دار کو
جو نہیں رکھتا ہے روزہ وہ بڑا نادان ہے
7)Kar lo sb tooba ky Rehmat ky Darwazy khul gaye hain
کر لو سب توبہ کہ رحمت کے دروازے کھل گئے ہیں
8)Aftari ky waqat ki jany wali Dua kbhi radd nahi hoti
افطاری کے وقت کی جانے والی دعا کبھی رد نہیں ہوتی
9)Rozadar ki khamooshi bhi ibadat hai.
روزہ دار کی خاموشی بھی عبادت ہے
10)Rozadar ki Har Dua par Farishty Ameen kehty hain
روزہ دار کی ہر دعا پر فرشتے آمین کہتے ہیں
Post a Comment